Ab bas bahot hua intezaar, bahot hui Soch....
Jaane kabse mann mein, thane baithe hain!
Jaane kitne sapno se, bachpan se, rishte naate hain!
Ab toh unn khwabo ko panno pe utarana hai!
Ab toh us pyas ko aag se bujhana hai!

Ab bas mujhe bhi kuch kar jaana hai!!
Jitna bhi uljha main, aaj sab suljhana hai!
Zindage ke kar mukaam par santosh nahin sajana hai!
Ab toh har mushkil ko lehar samajh paar kar jaana hai!
Ab toh har raat ke andhere ko, roshni se nehlana hai!

Mann mein jali ek aag ko , aankhon mein darshana hai!
Gale se nikli ek aah ko, lalkaar mein badlana hai!
Sau crore ki bhid mein, apna ek sthan banana hai !
Aage aake us, sau crore ki bhid ko aur aage le jaaana hai!

Ananya